Mere sawalo ka jawab de do
Aey hindustaniyo aaj mere sawaalo ka jawaab de do Kyu aaj ka yuva udaas ho gaya, Woh dharti pe mar meetne ka junoon kaha kho gaya, Dharti maa ko aajad karne ka jo swapan dekha tha, Kya woh sapna fir se so gaya. Kyu har baar ye kranti ki aag jalani padti hai, Kyu baar baar apne watan ki yaad dilani padti hai, Kyu hum bacho ke hote hue bhi, Hamari dharti maa ko apni aankhe bhigani padti hai. Kyu lagta hai sabko ki desh ab ajaad hai, Mai puchti hu aapse ki kya aaj nahi kuchle jate hamare jajbaat hai, Kyu aaaj bhi tarasta hai gareeb ek waqt ki roti ko, Kyu aaj bhi sirf ameero ke ghar abaad hai. Ye sab dekh ke bhi, kyu band hai aankhe hamari, Kyu aaj bhi bethi hai gareeb ke ghar uski bitiya kuwari, Kyu aaj bhi bahar akele jane se darti hai ek nari, Kyu aaj bhi maar di jati hai janam se pehle nanhi dulari. Kyu aaj ka har insaan itna badal gaya , Mitna tha jisko dharti ke liye, Woh chan paiso ke liye bik gaya, Kyu angrejo se ajaad hokar bhi har insaan gulaam ka gulaam reh gaya. Kyu hamari sarkar aaj itni badnaam ho gayi, Kyu har party paise ke liye neelam ho gayi, Kyu gunda gardi khuleaam ho gayi, Kyu aaj bum dhamako ki gunj sare aam ho gayi . Kyu hum sirf sarkar ko doshi tehrate hai, Kyu hum apne farj se jee churate hai, Ye desh hamara bhi hai, Kyu hum apne kartavya ko bhul jate hai. Kyu aaj bhai bhai ko chaltahai, Kyu aaj manaav mannav se darta hai, Kyu aaj mera desh apas me ladta hai, Kyu aaj bhi dharti maa ka dil itna tadapta hai. Mujhe bas aaj mere in sawaalo ka jawaab de do, Mere hath me tum aaj apna hath de do, Meri is ladai me, bharat ke naujawaano, Bas aaj tum mera sath de do.
1
0
akanksha_jiet
Find out more about akanksha_jiet.
Comments
Sign in or sign up to comment on this poem!
Poems by style
Poems by content